top of page
  • Writer's pictureAfsheen Khan

“Khidkiya”


I always try to write what is close to reality or something with which everyone can easily relate. I somewhat believe that creativity is in nature, its all around us ! We just need to give attention or observe our surroundings. My this post would surely trigger your souls. It is certainly not a poem but a textual portray symbolizing the other part of Mumbai Nightlife.

Your comments are valuable!!!


Is shahar mein jahan zindagi rukti nai, Waha jaha har dil me ek khwab hai…

Inn unchi unchi imarto me hazaro log baste hai, Mera bhi ghar hai ek isi shaher k bich…

Raat ko jab ye shahr chamchamata hai, Main apni khidki ke pas aksar baith jata hu. Mujhe nazar aati hai hazaro khidkiya… Kuch jahan andhera hai. Kuch abi bi roshan hai, Kuch se jashn ka mahool dikhta hai, toh kuch se khamoshiya jhankti hai, kuch bus yuhin band hai bewajah. . .

Ye khidkiya iss shahar ki raftar ka ayena lagti hai…

Samjhna namumkin hai ki har dil me kya hai. Par lakho ki bhid me har ek musroof hai kuch apni hi uljhano ko suljhaane me…

lagta hai jaise khidkiya k bahar ki dunia ne unhe jeena sikha diya, Khamosh rehna bhi…Bus yun subah se sham kab ho jati hai, Nai jante na aap na main. Sirf ye khidkiyan sunati hai mujhe jo keh ke bhi nahi kehti yeh zindagi…

9 views0 comments

Recent Posts

See All

Listen-Only Mode

Gift of Listening Listeners deserve invaluable praise in a world filled with talkers. Just one person with whom you can talk about your fears, insecurities, and past traumas would be comforting. It's

Post: Blog2_Post
bottom of page