top of page
  • Writer's pictureAfsheen Khan

Gulistan

Written on the verdict of Babri masjid or you can say ayodhya verdict…I was just browsing a news website and this evokes me to write these few lines on this very day of judgement of mankind

Hasrat-e-gulista

Na koi jeetega , na koi harega….Agar harega toh vo bus mera mulk harega…aur uska insaan harega…

Na muslman hu main , na hindu hu , Main watan hu tera , Mera na koi mazhab hain na hi jaat hai…

Mera imaan toh bus ye qaynaat hai…Kyo juda kiya mujhse mere wajood ko ae logo…kya milega iss qaynat ko Hindustan ya islamistan bana ke… paydaaish hui isi mitti me teri, kya milega isi ka taqseem kara ke…

Bus jayengi jaane….aur bahega lahu….iss bani-adam ka aur naam –o –nishan kya rahega…

Tu aya tha na mazhab ke sath… na hi jayega….fir kyo chidi ye jung , fir kyo nahi sab sang…

Aj puchta hu main mulk hu tera ya maidan –e- jung.

Itihas gawahi dega iss rashk –e- kahani ki….fir koun banega farma bardar iss ummat-e-jawani ki…kisne banai ye deewar mazhab-e-rawani ki…kisne likhi ye kahani nafrat –e -zubani ki…

Is faisle ke bayan se ruh –e-watan ki bakshish kya hogi…lana hai insaf toh fatwa insaniyat ka lana hoga…

Abaad-e-gulistan kya hoga.Abaad-e-gulistan kya hoga…koun jaane koun aasim aur koun farishta hoga….Aabroo watan ki jab mere nilaam hogi …vo mere aab-e-chashm se bayan hogi…

Aabroo watan ki jab mere nilaam hogi …vo mere aab-e-chashm se bayan hogi… Intikaam –e-ranjish ki vo akhiri visal hogi….mere aab-e-chashm se jo bayan hogi….

1 view0 comments

Recent Posts

See All

Listen-Only Mode

Gift of Listening Listeners deserve invaluable praise in a world filled with talkers. Just one person with whom you can talk about your fears, insecurities, and past traumas would be comforting. It's

Post: Blog2_Post
bottom of page