top of page

Akhiri Salaam

  • Writer: Afsheen Khan
    Afsheen Khan
  • Jan 1, 2014
  • 1 min read


This short prose has been penned down by me on the eve of 31st Dec, 2013. Sometime a complete random thought can unveil thousands of silent emotions in less number of words. Your comments are appreciated!!!

Safar-e-zist mein sukoon k khatir,

khawabo ke zariye manzile badali maine… khatm hone se pehle, kuch waqt

Rukne ko dil mera bhi tha shehar-e-anjan mein… Unn behisaab yaadon ki rahoon me,

lakh khawhisho ke silsile the… Na khatam hone wale kafile the,

Tabdiliyo ke saaye the…

Aj shaam ek aur kist bhijwa di hamne… In sha allah daastan ka urooj mukammal hoga… Raahen toh juda hongi par rehbar wahin hoga…

Sabz subah ki dhoop hogi… Khwabo ka tassavur hoga… Naumeedi ki sham na hogi… Sukoon hoga sirf sukoon hoga…

Ameen!

 
 
 

Comentários


Subscribe My Product Experience Newsletter

Thanks for submitting!

    ©2025 Afsheen Khan

    bottom of page