top of page
  • Writer's pictureAfsheen Khan

Relive Journey to the soul



If there is any language in the world that could truly reflect the feel of expression then assuredly it would be “Urdu”, a language that has witnessed centuries and evolved with time without losing its quintessence. Some of the inspiring Urdu poets from the great nation India are simply able to create the sink and hold of the expression through their writing style in Urdu language.

Mirza Ghalib and Zauk contributed to set the intensity on fire through their words. They created epic poetries that carries the soul within and unveil controversies to the world. They were the master of their words and set aside the customs through their ink. Great poets of early times – ahmed faraz, waseem barelvi, rahat Indori


I’ve been a great admirer of urdu verses, sharing some of my picks of the mystical urdu poets. Let’s relive a journey to the soul through the soliloquy of poets.

“Ham Hain Aur Saaya Tere Kuuche Kii Diivaaron Kaa. Kaam Jannat Men Hai Kyaa Ham-Se …Gunahgaaron Kaa… – Zauk”


Main Chahta Bhi Yahi Tha Wo Bewafa Nikle Use Samajhne Ka Koi To Silsila Nikle.. Kitaab-E-Mazi Ke Panne Ulat Ke Dekh Zara Najaane Kaun Sa Panna Muda Hua Nikle. Jo Dekhne Me Bahut Hi Kareeb Lagta Hai Usi Ke Baare Me Socho To Faasla Nikle.. – Waseem Barelvi


Bari Ajeeb Hai is Nadan Dil Ki Khawahish Ghalib…!! ik Shakhs is Ka Hona Nahi Chahta Aur Ye Usay Khona Nahi Chahta….!!!

Hum apni rooh tere jism mein he chhor aye Faraz…. Tujhy galay se lagana tu ek bahana tha… – Ahmed Faraz

Zindagi se yehi gilaa hai mujhe…Tu bahut der se mila hai mujhe…Hamsafar chaahiye, hujoom nahin…Ek musaafir bhi, qaafila hai mujhe… – Ahmed faraz

torr de tasbeeh ko is khayal se “faraz”…kya gin gin k naam lena os ka, jo bay hisaab deta hai … -Ahmed faraz


“Suno….Mujhe rona nahi ata…Mujhe khona nahi ata tum reh lo ge saath kisi aur k mager Main kya krun k mujhe RASTA badalna nahi ata. Tum to waaqif ho andaz-e-guftagu say Mujhe to baat karne ka salika b nahi ata. Tum to jeet jate ho larr jhagar ker bi Dekho mujhe to larna b nahi ata. Tum to khush reh lo ge mere bin Dekho tumhare bin to mujhe jeena b nahi ata…”

“Gair kyaa jaaniye kyon mujhko buraa kahate hain…aap kahate hain jo aisaa to bewajah kahate hain… vaaqaii tere is andaaz ko kyaa kahate hain…na vafaa kahate hain jis ko… na jafaa kahate hain…”

“lagata nahin hai jii meraa ujade dayaar mein kis ki bani hai aalam-e-naa_paayedaar mein kah do in hasaraton se kahin aur jaa basen itnii jagah kahaan hai dil-e-daaG_daar mein umr-e-daraaz maang kar laaye the chaar din do arazuu mein kat gaye do intazaar mein kitanaa hai bad_nasiib “Zafar” dafn ke liye do gaz zamiin bhii na mili kuu-e-yaar mein”


yaknazar besh naheen fursat-e-hastee ghaafil . . . Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak. . Gham-e-hastee ka asad kis se ho juz marg ilaaj. . . Shama har rang mein jaltee hai sahar hone tak.

Ajeeb dard ka rishta dikhaai deta hai…Ke har gham aashna apna dikhaai deta hai Jise teri taraf uthne ka ik saleeqa ho…Usi nigaah pe pehra dikhaai deta hai Tum apne sheh’r ke logon se pooch ker dekho…Meri tarah koi tanha dikhaai deta hai Tere baghair meri zindgi ka har lamha…Mere hi khoon ka pyaasa dikhaai deta hai Zaroor peene ke adaab jaanta ho ga…Jo maikade main bhi pyaasa dikhaai deta hai –Waseem Barelvi

You can join my facebook group – Relive Journey to the soul to explore the soulful world … https://www.facebook.com/groups/soul.journey/

2 views0 comments

Comments


bottom of page