top of page
  • Writer's pictureAfsheen Khan

Mere Kashmir Ki Khamoshi


Kaise ek ek zarre ko samet ke banaya tha vo ghar. Mere khwabo mere armano ka ashiyana. Mere sukoon ka thikana. Mere apno ki muskurato ka aayina.

Vo mera ghar, jo mere apno se tha. Jahan gunjti thi mere apno ki hansi. Jahan hoti thi guftugu aur kahva sham ki. Jahan ki fiza bhi wakif thi mujhse. Jahan dekha maine apna bachpan aur sajaya jawani mein jise.

Aj kuch palo mein vo zameen ka hissa khakh mein tabdil ho gaya. Meri araam gah benoor ho gayi. Bikhar gaye vo iraade jo rakhe the maine sirhane se kabhi. Mehez diware rah gayi jo ab tak geeli hai.

Zindagi zaroor tham si gayi uss hadse k baad. Khushk ho gaye ashk bhi mere ab. Magar mere hausle kamzor nahi padhe. Allah ne mujhe apni hifasat mein rakha. Mere raste banaye jinka rukh behtar manziilo ki taraf modh diya. Allah ne hi girkar uthna aur uthkar chalna sikhaya. Mera Imaan mere halaato ke sath aur behtar hota gaya. Allah ne sukoon mayassar kiya ho jaise.

Raste mein sham hui…

raat bhi hui thi…

Aur fir subah ki saba ne sabr bhi diya… Meri khamoshi aitmaad ban gayi…


Insha’Allah Kashmir Will Rise Again.

Special Thanks to JandK Now newspaper for appreciating my poetry about kashmir floods on their official facebook page.

7 views0 comments

Recent Posts

See All

Commentaires


bottom of page